Saturday, December 23, 2006
ek brahman ne kaha hai ki ye saal accha hai... //brahman pronouned as 'barahman' in the song
ek brahman ne kaha hai ki ye saal accha hai...
zulm ki raat bahut jaldi dhalegi ab to..
aag chulhe me har ek roz jalegi ab to
bhookh ke maare koi baccha nahi royega..
chain ki neend har ek shaks yahan soyega
aandhi nafrat ki chalegi na kahin ab ke baras..
pyaar ki fasl ugaayegi zameen ab ke baras
hai yakeen ab na koi shor sharaba hoga..
zulm hoga na kahin khoon kharaba hoga
os aur dhoop ke sadme na sahega koi..
ab mere des me beghar na rahega koi
naye vaadon ka jo daala hai, wo jaal accha hai..
rehnumaaon ne kaha hai ki ye saal accha hai..
dil ke khush rakhne ko ghalin ye khayal accha hai..
dil ke khush rakhne ko ghalin ye khayal accha hai :)
--------------------
singer: Jaggu Dada
album: Mirage
"ultimate lyrics and beautiful thought by the poet. The subtle criticism hinting at the politicians' promise hits you right in the heart. An ideal world described, that is probably dreamt by every Indian. I wish 'ye khayal haqeeqat me ek din zarur tabdeel ho'"
umr jalvon me ...
umr jalvon me basar ho, ye zaruri to nahi..
har shab-e-gham ki seher ho, ye zaruri to nahi
chashm-e-saaki se piyo ya lab-e-sagar se piyo..
bekhudi aathon peher ho, ye zaruri to nahi
umr jalvon me ...
neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai..
unki aaghosh me sar ho, ye zaruri to nahi
umr jalvon me ...
sheikh karta to hai masjid me khuda ke sajde..
uske sajdon me asar ho, ye zaruri to nahi
umr jalvon me ...
sabki nazron me ho saaki, ye zaruri hai magar..
sabpe saaki ki nazar ho, ye zaruri to nahi
umr jalvon me ...
--------------------------
singer: Jaggu Dada aka Jagjit Singh
"is one of the must-have ghazals of JS for his fans. Do get the concert version of this to enjoy it fully; is also available on www.raaga.com"
Saturday, December 9, 2006
seene me jalan..aankhon me toofan sa kyun hai...
is shehar me har shaks pareshan sa kyun hai..
seene me jalan..
dil hai to dhadakne ka bahana koi dhoonde..dil hai to..
-"-
patthar ki tarah behis-o-bejaan sa kyun hai..
-"-
seene me jalan..
tanhaayi ki ye kaun si manzil hai rafiko...
-"-
taa-hadd-ye-nazar ek bayaanbaan sa kyun hai..
-"-
seene me jalan..
kya koi nayi baat nazar aati hai humme..
-"-
aaina humein dekhke hairaan sa kyun hai..
-"-
seene me jalan..aankhon me toofan sa kyun hai..
khuda khair kare...
aayee zanjeer ki jhankaar, khuda khair kare...
dil hua kiska giriftaar, khuda khair kare
...
jaane ye kaun meri rooh ko chhoo kar guzra..jaane ye kaun..
-"-
ek qayamat hui bezaar, khuda khair kare...
lamha lamha meri aankhon me khichi jaati hai..lamha lamha..
-"-
ek chamakti hui talvaar, khuda khair kare...
khoon dil ka na chhalak jaaye kahin aankhon se...
-"-
ho na jaaye kahin izhaar, khuda khair kare..
aayee zanjeer ki jhankaar, khuda khair kare...
Saturday, November 18, 2006
ye nayan dare dare..
ye jaam bhare bhare..
zara peene do..kal ki kisko khabar,
ek raat hoke nidar..mujhe jeene do..
hmhmhmhmmmm...
raat haseen, ye chaand haseen..tu sabse haseen mere dilbar
aur tujhse haseen...
aur tujhse haseen tera pyaar
tu jaane na..
ye nayan dare dare..
hmhmhmhmmmm..
pyaar me hai jeevan ki khushi, deti hai khushi kai gham bhi..
mai maan bhi lun...
mai maan bhi lun kabhi haar
tu maane na..
ye nayan dare dare..
ye jaam bhare bhare..
--------------------------------
Hemant Kumar [Kohra]
kuch khusbhuyein...yaadon ke jungle se beh chalin..
kuch khidkiyan... lamhon ki dastak pe khul gayin..
kuch geet puraane...rakhe the sirhaane
kuch sur kahin khoye the, bandish mil gayi..
jeene ke ishaare mil gaye..
bichchde the kinaare, mil gaye..
meri zindagi me teri baarish kya hui..
mere raaste dariya bane, behne lage..
meri karvaton ko tune aake kya chhua, kai khaab neendon ki gali rehne lage..
jeene ke ishaare mil gaye..
meri lau hawaaon se jhagad ke jee uthi..
mere har andhere ko ujaale pi gaye..
tune has ke mujhse muskuraane ko kaha, mere man ke mausam gulmohar se ho gaye..
jeene ke ishaare mil gaye..
kuch khusbhuyein...saanson se saanson me ghul gayin..
kuch khidkiyan...aankhon hi aankhon me khul gayin..
kuch pyaas adhoori...kuch shaam sindoori..
kuch reshmi gunaahon me raatein dhal gayin..
jeene ke ishaare mil gaye..