Saturday, December 23, 2006

ek brahman ne kaha hai ki ye saal accha hai... //brahman pronouned as 'barahman' in the song

ek brahman ne kaha hai ki ye saal accha hai...

zulm ki raat bahut jaldi dhalegi ab to..
aag chulhe me har ek roz jalegi ab to

bhookh ke maare koi baccha nahi royega..
chain ki neend har ek shaks yahan soyega

aandhi nafrat ki chalegi na kahin ab ke baras..
pyaar ki fasl ugaayegi zameen ab ke baras

hai yakeen ab na koi shor sharaba hoga..
zulm hoga na kahin khoon kharaba hoga

os aur dhoop ke sadme na sahega koi..
ab mere des me beghar na rahega koi

naye vaadon ka jo daala hai, wo jaal accha hai..
rehnumaaon ne kaha hai ki ye saal accha hai..

dil ke khush rakhne ko ghalin ye khayal accha hai..
dil ke khush rakhne ko ghalin ye khayal accha hai :)

--------------------
singer: Jaggu Dada
album: Mirage
"ultimate lyrics and beautiful thought by the poet. The subtle criticism hinting at the politicians' promise hits you right in the heart. An ideal world described, that is probably dreamt by every Indian. I wish 'ye khayal haqeeqat me ek din zarur tabdeel ho'"

umr jalvon me

umr jalvon me ...
umr jalvon me basar ho, ye zaruri to nahi..
har shab-e-gham ki seher ho, ye zaruri to nahi

chashm-e-saaki se piyo ya lab-e-sagar se piyo..
bekhudi aathon peher ho, ye zaruri to nahi
umr jalvon me ...

neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai..
unki aaghosh me sar ho, ye zaruri to nahi
umr jalvon me ...

sheikh karta to hai masjid me khuda ke sajde..
uske sajdon me asar ho, ye zaruri to nahi
umr jalvon me ...

sabki nazron me ho saaki, ye zaruri hai magar..
sabpe saaki ki nazar ho, ye zaruri to nahi
umr jalvon me ...

--------------------------
singer: Jaggu Dada aka Jagjit Singh
"is one of the must-have ghazals of JS for his fans. Do get the concert version of this to enjoy it fully; is also available on www.raaga.com"


Saturday, December 9, 2006

seene me jalan

seene me jalan..aankhon me toofan sa kyun hai...
is shehar me har shaks pareshan sa kyun hai..
seene me jalan..

dil hai to dhadakne ka bahana koi dhoonde..dil hai to..
-"-
patthar ki tarah behis-o-bejaan sa kyun hai..
-"-
seene me jalan..

tanhaayi ki ye kaun si manzil hai rafiko...
-"-
taa-hadd-ye-nazar ek bayaanbaan sa kyun hai..
-"-
seene me jalan..

kya koi nayi baat nazar aati hai humme..
-"-
aaina humein dekhke hairaan sa kyun hai..
-"-
seene me jalan..aankhon me toofan sa kyun hai..

khuda khair kare

khuda khair kare...

aayee zanjeer ki jhankaar, khuda khair kare...
dil hua kiska giriftaar, khuda khair kare
...

jaane ye kaun meri rooh ko chhoo kar guzra..jaane ye kaun..
-"-
ek qayamat hui bezaar, khuda khair kare...

lamha lamha meri aankhon me khichi jaati hai..lamha lamha..
-"-
ek chamakti hui talvaar, khuda khair kare...

khoon dil ka na chhalak jaaye kahin aankhon se...
-"-
ho na jaaye kahin izhaar, khuda khair kare..

aayee zanjeer ki jhankaar, khuda khair kare...